Sir mujhe papite ki kheti karna hai kayese hoga bij se ya nursery dale uchit salah de ?
Please select atleast one option
Answer can not be empty
Shilpa Shivalkar
Maharashtra
20 Jun 2022 15:45:39
papite ko mitti ki vyapak kismo mein uagaya ja sakta hai. aache nikas vali pahadi mitti papite ki kheti ke loye upyukt hoti hai, retli or bhari mitti mein iski kheti na karein. papite li kheti ke loye mitti ka pH 6.5 se 7.0 hona chahiye. iski kisme jaise ke Pusa dawarf, Pusa giant, Co 3, Co1, Coorg Honey Dew, Pusa majesty, Pusa delicious ki bijai kar sakte hain, papite ki kheti ke loye nadeen rehat bhoomi ka paryog karein. mitti ke burbure hone tak khet ki jotai karein. akhiri jotai ke samay acchi tarah se gali hui rudi k ikhaad ya gay ka gala hua gobar mitti mein acchi tarah milakar dalaein, sifarish kiye gay fasle par 1m*1m*1m akar ke gadde ko mitti or rudi ki khaad ya gay ke gale huye gobar se bharein. paryog ki gayi kism ke adhar par pratiek gadde par 2-4 nay podhon ki ropai karein. ropai ke baad halki sinchai karein, hwa se bachaw ke liye khunta lagaye. beej ko 150 gej ki motai vale 25*10 cm ke polythene bag mein boye pani ke ucchi nikas ke liye polythene bag ke nichle hisse mein 1 cm ardvyas ka shad karein uske bad polythene bag mein sman anupat mein rudi ki khaad, mitti or ret dalein bijai se pehle beejon ka upchar karein ropai ke liye 6-7 saptah ke podhon ka paryog karein. urea 150 gram, phosphorus 80 gram or potash 100 gram prati vriksh dalein, khadon ko 4 bhago mein bantkar ropai ke baad pehle, tisre, panchve or satwe mahine mein dalein basant ke mausam mein feb march ke mahine mein bijai karein jabki monsoon ke mausam mein bijai ke liye june july ka mahina upyukt hota hai or patjhad ke mausam ke liye october se november mahine mein ki jati hai. amtor par 1.8*1.8 m fasle ka paryog kiya jata hai ucch danta ki ropai ke liye 1.5*1.5m fasle ka paryog kiya jata hai. bursery ke beej ko 1 cm ki gehrai par boyein beejo ki khet mein sidhe bijai ka mukhy khey mein nay podho ki ropai ki jati hai 100-120 gram beej prati acre mein paryog karein mitti ki kism, jalyau ke halati adi ke adhar par sinchai karein sardiyon mein 15 dino ke antkal par or garmiyon mein 7 din ke antkal par sinchai karein tane ko pani ke samparak mein na aney dein or khet mein pani bhi khada na hone dein podhe ki prod avastha ke doraan nadeen ki roktham jaruri hoti hai, nadeen ki tivarta ke adhaar par, niymiy or halki godai karein., dhanywad