agar ap mushroom ki kheti ke bare mein jankari chahte hai to mushroom kai parkaar ki hoti hai jaise ki button, Dhingri, shittake, paddy straw , milky aadi , aapko apne area me marketing ka pta karne ke baad mushroom ki kisam ka chunav karna chahiye aur iski training najdeeki KVK ya pehle se mushroom ki kheti kar rahe kisi kisaan se leni chahiye , sabse jyada common button mushrrom hai : iski composting ke liye apko 3000 kg toodi ,15 kg chokar , 9 kg kisaan kahad, 3 kg urea , 3 kg SSP , 3 kg MOP , 30 kg gypsum , 250 g lindane ,furadan 150g ki jroorat padegi, compost tyaar krne ke baad beej 5-6 g / kg compost ke hisaab se tyar kare , bijai ke 2-3 hfto ke baad casing ki jaati hai , jiske 2 hfto baad mushroom ugna shuru ho jaati hai , todne ke liye ise aap upar se pakad ke hlka sa ghymaye aur inka mandikarn 200g packet mein packing karke ki jaati hai. Agar ap kisi aur cheez ki kheti ke bare mein jankari lena chahte hai to kripya visthar se batye ta jo apko uske hisab se sahi jankari de sake. Dhanywad